fasl-e-gul dekh ke afzun hui wahshat apni
fasl-e-gul dekh ke afzūñ huī vahshat apnī
le chale dekhiye kis jā mujhe qismat apnī
go mujhe zo.af ne majbūr kiyā thā lekin
manzil-e-ishq meñ kaam aa ga.ī himmat apnī
tū hī insāf se kah de ki ye pardā kyā hai
kyuuñ chhupātā hai dikhā kar mujhe sūrat apnī
pūchhte kyā ho fidā jaan kiyā kyuuñ maiñ ne
ishq apnā hai dil apnā hai tabī.at apnī
mahv-e-nazzāra haiñ ham to kisī jānib chhup kar
aur vo ā.īne meñ dekhā kare sūrat apnī
rāhat-o-ranj kā ġhairoñ pe asar kyā hogā
rañj apnā hai alam apnā masarrat apnī
jaan jaa.e to chalī jaa.e magar ai qātil
tere kūche hī meñ ho jaa.e shahādat apnī
sar meñ saudā-e-havas aur takabbur na rahe
chashm-e-bātin se agar dekhe haqīqat apnī
tār-e-malbūs-e-ḳhudī kyuuñ raheñ baaqī mere
panja-e-dast-e-junūñ apnā hai vahshat apnī
mar hī jā.ūñ maiñ agar hijr meñ naale na karūñ
āh-o-zārī se nikal jaatī hai kulfat apnī
dil use de ke 'jamīla' maiñ abas kyuuñ rotā
us ne rakhne ko mujhe dī thī amānat apnī
fasl-e-gul dekh ke afzun hui wahshat apni
le chale dekhiye kis ja mujhe qismat apni
go mujhe zoaf ne majbur kiya tha lekin
manzil-e-ishq mein kaam aa gai himmat apni
tu hi insaf se kah de ki ye parda kya hai
kyun chhupata hai dikha kar mujhe surat apni
puchhte kya ho fida jaan kiya kyun main ne
ishq apna hai dil apna hai tabiat apni
mahw-e-nazzara hain hum to kisi jaanib chhup kar
aur wo aaine mein dekha kare surat apni
rahat-o-ranj ka ghairon pe asar kya hoga
ranj apna hai alam apna masarrat apni
jaan jae to chali jae magar ai qatil
tere kuche hi mein ho jae shahadat apni
sar mein sauda-e-hawas aur takabbur na rahe
chashm-e-baatin se agar dekhe haqiqat apni
tar-e-malbus-e-KHudi kyun rahen baqi mere
panja-e-dast-e-junun apna hai wahshat apni
mar hi jaun main agar hijr mein nale na karun
aah-o-zari se nikal jati hai kulfat apni
dil use de ke 'jamila' main abas kyun rota
us ne rakhne ko mujhe di thi amanat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.