fasl-e-gul mein bhi wahi daur-e-KHizan hai ab ke
fasl-e-gul meñ bhī vahī daur-e-ḳhizāñ hai ab ke
kaisā ġham vaqt ke chehre se 'ayāñ hai ab ke
mash'aleñ haiñ na dhuāñ hai na sadā-e-nāqūs
kyā ḳhabar qāfila-e-dard kahāñ hai ab ke
zindagī vaqt ke dar tak jise le aa.ī thī
dhuñdlā dhuñdlā isī insāñ kā nishāñ hai ab ke
chārāgar rahm na kar is kī zarūrat kyā hai
merā har zaḳhm mire dil kī zabāñ hai ab ke
lāla-zāroñ se to gul-rañg lipaT aatī thī
dil ke vīrāne meñ har samt dhuāñ hai ab ke
mujh pe vo sāneha guzrā hai asīrān-e-qafas
apne saa.e se bhī vahshat kā gumāñ hai ab ke
sar-ba-zānū thiiñ tamannā.eñ na jaane kab se
chashm-e-'ummīd' bhī ḳhūñ-nāba-fashāñ hai ab ke
fasl-e-gul mein bhi wahi daur-e-KHizan hai ab ke
kaisa gham waqt ke chehre se 'ayan hai ab ke
mash'alen hain na dhuan hai na sada-e-naqus
kya KHabar qafila-e-dard kahan hai ab ke
zindagi waqt ke dar tak jise le aai thi
dhundla dhundla isi insan ka nishan hai ab ke
chaaragar rahm na kar is ki zarurat kya hai
mera har zaKHm mere dil ki zaban hai ab ke
lala-zaron se to gul-rang lipaT aati thi
dil ke virane mein har samt dhuan hai ab ke
mujh pe wo saneha guzra hai asiran-e-qafas
apne sae se bhi wahshat ka guman hai ab ke
sar-ba-zanu thin tamannaen na jaane kab se
chashm-e-'ummid' bhi KHun-naba-fashan hai ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.