fasl-e-junun ke bab mein humne jo bhi kahani likhi hai
fasl-e-junun ke bab mein humne jo bhi kahani likhi hai
Syed Ashoor Kazmi
MORE BYSyed Ashoor Kazmi
fasl-e-junūñ ke baab meñ ham ne jo bhī kahānī likhī hai
manzar-nāma jaisā bhī ho baat hamārī apnī hai
arz-e-vatan se aane vaale des kā kuchh ahvāl sunā
ḳhauf kī chādar oḌhe baiThī qaum kī hālat kaisī hai
zindābād na kahne vaale kitne bāġhī qatl hue
muhr-ba-lab logoñ ke ghar kyā sach-much roTī paktī hai
kitne bachchoñ kā mustaqbil tauq-e-asīrī pahne hai
kitne raushan chehroñ par tahrīr ġhulāmī likkhī hai
marne vaale mārne vaale ek hī ghar meñ rahte haiñ
chaukhaT chaukhaT bahne vaale ḳhuun kī rangat kaisī hai
kyā koī daar pe sajne vaalā in rāhoñ se guzrā hai
shahr ke saare rastoñ par ye kaisī gahmā-gahmī hai
tahzīboñ ke jangal meñ ye kaisā mohazzab aaqā hai
jis ne har insān kī qīmat sirf ik golī rakkhī hai
ḳhvāboñ kī ta.abīr na DhūñDo ta.abīroñ se ḳhvāb buno
har dil ko jo chhū kar guzre ye vo kahāvat lagtī hai
aaj hameñ 'āshūr' kisī ne behis qaum kā fard kahā
lahja talḳh thā lafz bure the baat to shāyad sachchī hai
fasl-e-junun ke bab mein hum ne jo bhi kahani likhi hai
manzar-nama jaisa bhi ho baat hamari apni hai
arz-e-watan se aane wale des ka kuchh ahwal suna
KHauf ki chadar oDhe baiThi qaum ki haalat kaisi hai
zindabaad na kahne wale kitne baghi qatl hue
muhr-ba-lab logon ke ghar kya sach-much roTi pakti hai
kitne bachchon ka mustaqbil tauq-e-asiri pahne hai
kitne raushan chehron par tahrir ghulami likkhi hai
marne wale marne wale ek hi ghar mein rahte hain
chaukhaT chaukhaT bahne wale KHun ki rangat kaisi hai
kya koi dar pe sajne wala in rahon se guzra hai
shahr ke sare raston par ye kaisi gahma-gahmi hai
tahzibon ke jangal mein ye kaisa mohazzab aaqa hai
jis ne har insan ki qimat sirf ek goli rakkhi hai
KHwabon ki tabir na DhunDo tabiron se KHwab buno
har dil ko jo chhu kar guzre ye wo kahawat lagti hai
aaj hamein 'ashur' kisi ne behis qaum ka fard kaha
lahja talKH tha lafz bure the baat to shayad sachchi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.