fasl-e-KHizan mein shaKH se patta nikal de
fasl-e-ḳhizāñ meñ shāḳh se pattā nikāl de
sūkhe shajar se khīñch ke saaya nikāl de
mujh ko amaañ ho qarya-e-vahm-o-gumān meñ
de kar yaqīn dil se tū ḳhadsha nikāl de
chāhe sharar se phūñk de saare jahān ko
chāhe jise vo aag se zinda nikāl de
rahbar nahīñ hai us sā koī do jahān meñ
bahr-e-ravāñ ko kaaT ke rasta nikāl de
be-jān pattharoñ se kare zindagī kashīd
dīvār-e-ḳhisht-o-sañg se paudā nikāl de
fasl-e-KHizan mein shaKH se patta nikal de
sukhe shajar se khinch ke saya nikal de
mujh ko aman ho qarya-e-wahm-o-guman mein
de kar yaqin dil se tu KHadsha nikal de
chahe sharar se phunk de sare jahan ko
chahe jise wo aag se zinda nikal de
rahbar nahin hai us sa koi do jahan mein
bahr-e-rawan ko kaT ke rasta nikal de
be-jaan pattharon se kare zindagi kashid
diwar-e-KHisht-o-sang se pauda nikal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.