fasl jo chahen kaTna bo bhi nahin sakte
fasl jo chāheñ kāTnā bo bhī nahīñ sakte
aur ye lamhe rā.egāñ kho bhī nahīñ sakte
ab to hañsī aa jaatī hai jab ho ye dhyān ki ham
rone vaalī baat par ro bhī nahīñ sakte
ḳhvāboñ ke sab qāfile din ke safar par haiñ
shab ko lambī taan kar so bhī nahīñ sakte
dil se āḳhir dho chaleñ gard-e-kudūrat kyuuñ
jab ham terā aa.ina ho bhī nahīñ sakte
koī hameñ pahchān le yuuñ to mushkil hai
lekin ham is bhiiḌ meñ kho bhī nahīñ sakte
us ke karam kī bārisheñ yuuñ to barastī haiñ
daaġh kuchh aise haiñ ki ham dho bhī nahīñ sakte
fasl jo chahen kaTna bo bhi nahin sakte
aur ye lamhe raegan kho bhi nahin sakte
ab to hansi aa jati hai jab ho ye dhyan ki hum
rone wali baat par ro bhi nahin sakte
KHwabon ke sab qafile din ke safar par hain
shab ko lambi tan kar so bhi nahin sakte
dil se aaKHir dho chalen gard-e-kudurat kyun
jab hum tera aaina ho bhi nahin sakte
koi hamein pahchan le yun to mushkil hai
lekin hum is bhiD mein kho bhi nahin sakte
us ke karam ki barishen yun to barasti hain
dagh kuchh aise hain ki hum dho bhi nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.