fasl ki jalwa-gari dekhta hun
fasl kī jalva-garī dekhtā huuñ
shāḳh kāñToñ se bharī dekhtā huuñ
raqs-gāhoñ meñ baḌe charche haiñ
kaun hai laal parī dekhtā huuñ
chāñd ko chāhiye ham-shakl apnā
rāt-bhar dar-badarī dekhtā huuñ
lau machaltī hai khulī khiḌkī meñ
roz ik sham.a dharī dekhtā huuñ
mere bas meñ hai nahīñ kyā chalnā
jhanDiyāñ laal harī dekhtā huuñ
dekhtā huuñ maiñ 'zubair' apnī taraf
yā jamāl-e-qamarī dekhtā huuñ
fasl ki jalwa-gari dekhta hun
shaKH kanTon se bhari dekhta hun
raqs-gahon mein baDe charche hain
kaun hai lal pari dekhta hun
chand ko chahiye ham-shakl apna
raat-bhar dar-badari dekhta hun
lau machalti hai khuli khiDki mein
roz ek shama dhari dekhta hun
mere bas mein hai nahin kya chalna
jhanDiyan lal hari dekhta hun
dekhta hun main 'zubair' apni taraf
ya jamal-e-qamari dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.