sab ko bachao KHud bhi bacho fasla rakho
sab ko bachāo ḳhud bhī bacho fāsla rakho
ab aur kuchh karo na karo fāsla rakho
ḳhatra to muft meñ bhī nahīñ lenā chāhiye
ghar se nikal ke mol na lo fāsla rakho
filhāl is se bachne kā hai ek rāsta
vo ye ki is se bach ke raho fāsla rakho
dushman hai aur tarah kā jañg aur tarah kī
aage baḌho na pīchhe haTo fāsla rakho
hal bhī talāsh kar liyā jā.egā an-qarīb
tum is vabā ko baḌhne na do fāsla rakho
rakhne kī bas ye tiin hī chīzeñ haiñ in dinoñ
himmat rakho yaqīn rakho fāsla rakho
karte ho jis tarah bure logoñ se ijtināb
achchhoñ se bhī gurez karo fāsla rakho
sab ko bachao KHud bhi bacho fasla rakho
ab aur kuchh karo na karo fasla rakho
KHatra to muft mein bhi nahin lena chahiye
ghar se nikal ke mol na lo fasla rakho
filhaal is se bachne ka hai ek rasta
wo ye ki is se bach ke raho fasla rakho
dushman hai aur tarah ka jang aur tarah ki
aage baDho na pichhe haTo fasla rakho
hal bhi talash kar liya jaega an-qarib
tum is waba ko baDhne na do fasla rakho
rakhne ki bas ye tin hi chizen hain in dinon
himmat rakho yaqin rakho fasla rakho
karte ho jis tarah bure logon se ijtinab
achchhon se bhi gurez karo fasla rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.