fasurda-dil hai nazron ki pareshani nahin jati
fasurda-dil hai nazron ki pareshani nahin jati
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
fasurda-dil hai nazroñ kī pareshānī nahīñ jaatī
ki ab tasvīr merī mujh se pahchānī nahīñ jaatī
tumhārī hī galī meñ umr kaT jaa.e to behtar hai
ki mujh se dar-ba-dar kī ḳhaak ab chhānī nahīñ jaatī
ġhulāmī ne tumhārī vo atā kī hai mujhe azmat
ki shāhī meñ bhī dil se ḳhū-e-darbānī nahīñ jaatī
kahīñ lākhoñ kā gumbad hai ba-shakl-e-sā.ebāñ sar par
kahīñ ik chādar-e-bosīda jo taanī nahīñ jaatī
payām-e-marg dete haiñ hazāroñ hādse phir bhī
hamārī qaum kī 'sāhil' tan-āsānī nahīñ jaatī
fasurda-dil hai nazron ki pareshani nahin jati
ki ab taswir meri mujh se pahchani nahin jati
tumhaari hi gali mein umr kaT jae to behtar hai
ki mujh se dar-ba-dar ki KHak ab chhani nahin jati
ghulami ne tumhaari wo ata ki hai mujhe azmat
ki shahi mein bhi dil se KHu-e-darbani nahin jati
kahin lakhon ka gumbad hai ba-shakl-e-saeban sar par
kahin ek chadar-e-bosida jo tani nahin jati
payam-e-marg dete hain hazaron hadse phir bhi
hamari qaum ki 'sahil' tan-asani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.