fasurda-dil hain KHushi se bichhaD gae hain log
fasurda-dil haiñ ḳhushī se bichhaḌ ga.e haiñ log
ḳhudā ko bhuul ke mushkil meñ paḌ ga.e haiñ log
ġham aur dard ke jangal uge haiñ chehroñ par
na.e zamāne meñ kitne ujaḌ ga.e haiñ log
sitam kī āñdhī ne mismār kar diyā in ko
ye lag rahā hai jaḌoñ se ukhaḌ ga.e haiñ log
najāt kī koī sūrat nazar nahīñ aatī
dukhoñ ke phande meñ aise jakaḌ ga.e haiñ log
the rāh-e-rāst pe jab tak paḌe the pastī meñ
bulandiyoñ pe pahuñch kar bigaḌ ga.e haiñ log
bhulā diye haiñ ḳhulūs-o-vafā ke saare sabaq
mafād ḳhatre meñ aayā to laḌ ga.e haiñ log
ajiib chiiz anā kā ḳhumār bhī hai 'kamāl'
nihatte ho ke bhī maidāñ meñ aḌ ga.e haiñ log
fasurda-dil hain KHushi se bichhaD gae hain log
KHuda ko bhul ke mushkil mein paD gae hain log
gham aur dard ke jangal uge hain chehron par
nae zamane mein kitne ujaD gae hain log
sitam ki aandhi ne mismar kar diya in ko
ye lag raha hai jaDon se ukhaD gae hain log
najat ki koi surat nazar nahin aati
dukhon ke phande mein aise jakaD gae hain log
the rah-e-rast pe jab tak paDe the pasti mein
bulandiyon pe pahunch kar bigaD gae hain log
bhula diye hain KHulus-o-wafa ke sare sabaq
mafad KHatre mein aaya to laD gae hain log
ajib chiz ana ka KHumar bhi hai 'kamal'
nihatte ho ke bhi maidan mein aD gae hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.