fasurda lakh ho dil shoala-samani nahin jati
fasurda laakh ho dil sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
sukūñ meñ bhī mire dariyā kī tuġhyānī nahīñ jaatī
dam-e-nazzāra bhī apnī pareshānī nahīñ jaatī
bikhar jaate haiñ jalve shakl pahchānī nahīñ jaatī
dil-e-sāda meñ o zauq-e-mohabbat baḳhshne vaale
abhī tak terī baḳhshish kī gul-afshānī nahīñ jaatī
abhī tak pai-ba-pai nākāmiyoñ se dil nahīñ thaktā
abhī tak ārzūoñ kī farāvānī nahīñ jaatī
na jaane kis nazar se tujh ko kis aalam meñ kab dekhā
ki ab tak dīda-e-hairāñ kī hairānī nahīñ jaatī
'sabā' ne gudgudāyā kuchh nasīm-e-sub.h ne chheḌā
'mubārak' phir bhī gul kī pāk-dāmānī nahīñ jaatī
fasurda lakh ho dil shoala-samani nahin jati
sukun mein bhi mere dariya ki tughyani nahin jati
dam-e-nazzara bhi apni pareshani nahin jati
bikhar jate hain jalwe shakl pahchani nahin jati
dil-e-sada mein o zauq-e-mohabbat baKHshne wale
abhi tak teri baKHshish ki gul-afshani nahin jati
abhi tak pai-ba-pai nakaamiyon se dil nahin thakta
abhi tak aarzuon ki farawani nahin jati
na jaane kis nazar se tujh ko kis aalam mein kab dekha
ki ab tak dida-e-hairan ki hairani nahin jati
'saba' ne gudgudaya kuchh nasim-e-subh ne chheDa
'mubarak' phir bhi gul ki pak-damani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.