fasurda shaKH par aaKHir gul-e-taza nikal aaya
fasurda shāḳh par āḳhir gul-e-tāza nikal aayā
lagā ki dozaḳhī koī lab-e-dariyā nikal aayā
ishāre par kisī ke shahr-e-maqbūza meñ khiltā thā
bichhaḌ kar phuul se ḳhushbū kā ik jhoñkā nikal aayā
maiñ TukḌe TukḌe hote dekhtā thā ghar ke āñgan ko
ka.ī hissoñ meñ baTtā apnā hī chehra nikal aayā
vajūd apnā kisī Dahte makāñ kā pesh-ḳhema hai
agar dīvār kī ūñchī to darvāza nikal aayā
ta.alluq joḌne ke fan se aarī ho ga.e haiñ ham
jahāñ Thahre ḳhayāl-e-shahr-e-ā.inda nikal aayā
fasurda shaKH par aaKHir gul-e-taza nikal aaya
laga ki dozaKHi koi lab-e-dariya nikal aaya
ishaare par kisi ke shahr-e-maqbuza mein khilta tha
bichhaD kar phul se KHushbu ka ek jhonka nikal aaya
main TukDe TukDe hote dekhta tha ghar ke aangan ko
kai hisson mein baTta apna hi chehra nikal aaya
wajud apna kisi Dahte makan ka pesh-KHema hai
agar diwar ki unchi to darwaza nikal aaya
talluq joDne ke fan se aari ho gae hain hum
jahan Thahre KHayal-e-shahr-e-ainda nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.