fasurdagi nahin barbaadi-e-jahan se hamein
fasurdagī nahīñ barbādī-e-jahāñ se hameñ
isī zamīñ ko badalnā hai āsmāñ se hameñ
milā ye faiz ġham-e-ishq-e-jāvedāñ se hameñ
najāt ho ga.ī āḳhir ġham-e-jahāñ se hameñ
tarīq-e-ishq meñ rahbar huī hai gumrāhī
milā hai bām-e-yaqīñ zīna-e-gumāñ se hameñ
isī kī ḳhaak se phir āshiyāñ banā leñge
malāl kuchh nahīñ taḳhrīb-e-āshiyāñ se hameñ
shikasta naav ko maujoñ meñ ḳhud hī khenā hai
na nāḳhudā se ġharaz hai na bādbāñ se hameñ
hamārī tez-ḳhirāmī kā saath de na sake
gila hai sustī-e-raftār-e-ham-rahāñ se hameñ
tujhī se be-ḳhudī-e-shauq pūchhte haiñ batā
ḳhabar nahīñ ki kahāñ le ga.ī kahāñ se hameñ
hai ishq hī ke liye ham ko ishq kā saudā
ġharaz na suud se matlab na kuchh ziyāñ se hameñ
jabīñ kahīñ bhī jhuke dil jhukā hai us kī taraf
ajiib rabt hai us sang-e-āstāñ se hameñ
sukūñ hai kunj-e-qafas meñ na āshiyāñ meñ hai chain
amaañ kahīñ bhī nahīñ barq-e-be-amāñ se hameñ
jafā-e-dost ne itnā kiyā hai ḳhūgar-e-ġham
ki ḳhauf kuchh na rahā jaur-e-dushmanāñ se hameñ
har ek harf-e-mohabbat pe bad-gumānī hai
paḌā hai sābiqa ik yār-e-nukta-dāñ se hameñ
na jaane kis kī tajallī kī muntazir hai nigāh
farār mil na sakā jalva-e-butāñ se hameñ
ga.ī bahār to mausam pe iḳhtiyār thā kyā
chaman meñ jī ko lagānā paḌā ḳhizāñ se hameñ
baġhair jumbish-e-abrū idhar nigāh uThī
qatīl-e-nāz kiyā tīr-e-be-kamāñ se hameñ
talab thī ḳhum kī milā sirf ek jām-e-tahī
muaaf pīr-e-muġhāñ rakh is armuġhāñ se hameñ
hanūz qāfile meñ intishār baaqī hai
gila abas hai 'valī' mīr-e-kārvāñ se hameñ
fasurdagi nahin barbaadi-e-jahan se hamein
isi zamin ko badalna hai aasman se hamein
mila ye faiz gham-e-ishq-e-jawedan se hamein
najat ho gai aaKHir gham-e-jahan se hamein
tariq-e-ishq mein rahbar hui hai gumrahi
mila hai baam-e-yaqin zina-e-guman se hamein
isi ki KHak se phir aashiyan bana lenge
malal kuchh nahin taKHrib-e-ashiyan se hamein
shikasta naw ko maujon mein KHud hi khena hai
na naKHuda se gharaz hai na baadban se hamein
hamari tez-KHirami ka sath de na sake
gila hai susti-e-raftar-e-ham-rahan se hamein
tujhi se be-KHudi-e-shauq puchhte hain bata
KHabar nahin ki kahan le gai kahan se hamein
hai ishq hi ke liye hum ko ishq ka sauda
gharaz na sud se matlab na kuchh ziyan se hamein
jabin kahin bhi jhuke dil jhuka hai us ki taraf
ajib rabt hai us sang-e-astan se hamein
sukun hai kunj-e-qafas mein na aashiyan mein hai chain
aman kahin bhi nahin barq-e-be-aman se hamein
jafa-e-dost ne itna kiya hai KHugar-e-gham
ki KHauf kuchh na raha jaur-e-dushmanan se hamein
har ek harf-e-mohabbat pe bad-gumani hai
paDa hai sabiqa ek yar-e-nukta-dan se hamein
na jaane kis ki tajalli ki muntazir hai nigah
farar mil na saka jalwa-e-butan se hamein
gai bahaar to mausam pe iKHtiyar tha kya
chaman mein ji ko lagana paDa KHizan se hamein
baghair jumbish-e-abru idhar nigah uThi
qatil-e-naz kiya tir-e-be-kaman se hamein
talab thi KHum ki mila sirf ek jam-e-tahi
muaf pir-e-mughan rakh is armughan se hamein
hanuz qafile mein intishaar baqi hai
gila abas hai 'wali' mir-e-karwan se hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.