fath pane ki nai rah nikali usne
fat.h paane kī na.ī raah nikālī us ne
merā sar maañg liyā ban ke savālī us ne
apnī hī zaat ke gulshan meñ kiyā aa ke qiyām
bhuul kar vādī-e-kashmīr-o-manālī us ne
qurb māñgā to diyā hijr jo māñgā to diyā
jo kahā maiñ ne koī baat na Taalī us ne
maiñ samajhtā thā yūñhī hogā hunar us kā magar
be misālī kī bhī tasvīr banā lī us ne
sang-zādoñ meñ shab-o-roz the us ke lekin
zindagī phuul ke pairā.e meñ Dhālī us ne
baad muddat ke huā sāmnā us se jo mirā
dūsrī samt nazar apnī ghumā lī us ne
dū-badū jab maiñ huā zillat-o-rusvā.ī se
kī atā mansab-e-izzat pe bahālī us ne
is qadar saada tabī.at hai mirā yaar ki bas
jo chhupānī thī vahī baat uchhālī us ne
jaane kis manzar-e-sad-rang meñ gum thā vo 'mujīb'
koī shai dekhī nahīñ dekhne vaalī us ne
fath pane ki nai rah nikali us ne
mera sar mang liya ban ke sawali us ne
apni hi zat ke gulshan mein kiya aa ke qiyam
bhul kar wadi-e-kashmir-o-manali us ne
qurb manga to diya hijr jo manga to diya
jo kaha main ne koi baat na Tali us ne
main samajhta tha yunhi hoga hunar us ka magar
be misali ki bhi taswir bana li us ne
sang-zadon mein shab-o-roz the us ke lekin
zindagi phul ke pairae mein Dhaali us ne
baad muddat ke hua samna us se jo mera
dusri samt nazar apni ghuma li us ne
du-badu jab main hua zillat-o-ruswai se
ki ata mansab-e-izzat pe bahaali us ne
is qadar sada tabiat hai mera yar ki bas
jo chhupani thi wahi baat uchhaali us ne
jaane kis manzar-e-sad-rang mein gum tha wo 'mujib'
koi shai dekhi nahin dekhne wali us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.