aankh bhuli hai bap ki surat
aañkh bhūlī hai baap kī sūrat
is pe dukh haiñ sharāp kī sūrat
ġham-zada ik ġhazal paḌhī apnī
dard ubhre alaap kī sūrat
yaad maañ kī rulā ga.ī mujh ko
maiñ ne dekhī thī baap kī sūrat
taal tanhā.ī detī rahtī hai
dard uThtā hai thaap kī sūrat
koī aisā nahīñ rahā 'sohil'
jis se miltī ho aap kī sūrat
aankh bhuli hai bap ki surat
is pe dukh hain sharap ki surat
gham-zada ek ghazal paDhi apni
dard ubhre alap ki surat
yaad man ki rula gai mujh ko
main ne dekhi thi bap ki surat
tal tanhai deti rahti hai
dard uThta hai thap ki surat
koi aisa nahin raha 'sohil'
jis se milti ho aap ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.