faza badle hawa badle makan badle zaman badle
fazā badle havā badle makāñ badle zamāñ badle
zarā tum muskurā to do ki rang-e-āsmāñ badle
na phūloñ meñ vo bū baaqī na tāroñ meñ ziyā baaqī
nigāh-e-nāz kyā badlī zamīn-o-āsmāñ badle
kaho to kuchh milā bhī jāñ-nisāroñ par sitam kar ke
na kuchh hāsil ho jis se ab vo tarz-e-imtihāñ badle
vahī ham haiñ vahī nākāmiyāñ haiñ aur vahī ġham hai
na daur-e-āsmāñ badlā na daur-e-āsmāñ badle
ḳhudā kyā aur but kyā dair-o-ka.aba kyā kalīsā kyā
nazar aa.e tumhīñ 'nāshād' ko nām-o-nishāñ badle
faza badle hawa badle makan badle zaman badle
zara tum muskura to do ki rang-e-asman badle
na phulon mein wo bu baqi na taron mein ziya baqi
nigah-e-naz kya badli zamin-o-asman badle
kaho to kuchh mila bhi jaan-nisaron par sitam kar ke
na kuchh hasil ho jis se ab wo tarz-e-imtihan badle
wahi hum hain wahi nakaamiyan hain aur wahi gham hai
na daur-e-asman badla na daur-e-asman badle
KHuda kya aur but kya dair-o-kaba kya kalisa kya
nazar aae tumhin 'nashad' ko nam-o-nishan badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.