faza bechain hoti ja rahi hai
fazā bechain hotī jā rahī hai
javānī un pe shāyad aa rahī hai
balā.eñ lene aa.ī haiñ bahāreñ
kalī khilte hue sharmā rahī hai
barasne ko tarastī haiñ ghaTā.eñ
nigāh-e-nāz mai barsā rahī hai
bagūle bichh rahe haiñ rāste meñ
havā dāman meñ simTī jā rahī hai
sulag uTThī hai ruḳhsāroñ pe surḳhī
ye ban kī aag baḌhtī jā rahī hai
liyā mastī ne hoñToñ kā sahārā
hayā āñkhoñ se lipTī jā rahī hai
faza bechain hoti ja rahi hai
jawani un pe shayad aa rahi hai
balaen lene aai hain bahaaren
kali khilte hue sharma rahi hai
barasne ko tarasti hain ghaTaen
nigah-e-naz mai barsa rahi hai
bagule bichh rahe hain raste mein
hawa daman mein simTi ja rahi hai
sulag uTThi hai ruKHsaron pe surKHi
ye ban ki aag baDhti ja rahi hai
liya masti ne honTon ka sahaara
haya aankhon se lipTi ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.