faza dushwar-e-jaan ho to mohabbat aur baDhti hai
fazā dushvār-e-jāñ ho to mohabbat aur baḌhtī hai
koī jab rāsta roke to himmat aur baḌhtī hai
gile-shikve chalo mil baiTh kar sab duur ham kar leñ
nigāheñ pher lene se kudūrat aur baḌhtī hai
hamārā mashvara ahl-e-jahāñ ko raas kyoñ aa.e
burā jab vaqt hotā hai himāqat aur baḌhtī hai
kisī mazlūm ke haq meñ kabhī sach bol kar dekho
har ik insān kī nazroñ meñ 'izzat aur baḌhtī hai
hameñ āgāh kartā hai hamesha hī burā.ī se
ḳhilāf-e-qalb jaane par nadāmat aur baḌhtī hai
yuuñ kahne ko hazāroñ log kahte haiñ ġhazal lekin
salīqe se kahī jaa.e to shohrat aur baḌhtī hai
ḳhamoshī buzdilī kī hai 'alāmat is liye 'sāhil'
'adū ke zulm Dhāne kī jasārat aur baḌhtī hai
faza dushwar-e-jaan ho to mohabbat aur baDhti hai
koi jab rasta roke to himmat aur baDhti hai
gile-shikwe chalo mil baiTh kar sab dur hum kar len
nigahen pher lene se kudurat aur baDhti hai
hamara mashwara ahl-e-jahan ko ras kyon aae
bura jab waqt hota hai himaqat aur baDhti hai
kisi mazlum ke haq mein kabhi sach bol kar dekho
har ek insan ki nazron mein 'izzat aur baDhti hai
hamein aagah karta hai hamesha hi burai se
KHilaf-e-qalb jaane par nadamat aur baDhti hai
yun kahne ko hazaron log kahte hain ghazal lekin
saliqe se kahi jae to shohrat aur baDhti hai
KHamoshi buzdili ki hai 'alamat is liye 'sahil'
'adu ke zulm Dhane ki jasarat aur baDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.