faza-e-ishq mein uDta hua hun tair main
fazā-e-ishq meñ uḌtā huā huuñ taa.ir maiñ
vo shāḳh-e-gul mirī manzil hai aur musāfir maiñ
mirā vajūd magar kā.enāt meñ gum hai
fasīl-e-jism ke andar rahī ba-zāhir maiñ
vo ek naam jo merā kabhī nahīñ hotā
us ek naam ko kyoñ sochtī huuñ āḳhir maiñ
maiñ chāhtī huuñ ki vo bevafā na kahlā.e
nibhā rahī huuñ mohabbat usī kī ḳhātir maiñ
ḳhud apne aap meñ jalne ko be-qarār sī huuñ
dayār-e-shab se guzarne lagī huuñ kyā phir maiñ
ye shā.irī mirī iz.hār-e-zāt hai 'shabnam'
kahāñ ke sher-o-adab aur kahāñ kī shā.ir maiñ
faza-e-ishq mein uDta hua hun tair main
wo shaKH-e-gul meri manzil hai aur musafir main
mera wajud magar kaenat mein gum hai
fasil-e-jism ke andar rahi ba-zahir main
wo ek nam jo mera kabhi nahin hota
us ek nam ko kyon sochti hun aaKHir main
main chahti hun ki wo bewafa na kahlae
nibha rahi hun mohabbat usi ki KHatir main
KHud apne aap mein jalne ko be-qarar si hun
dayar-e-shab se guzarne lagi hun kya phir main
ye shairi meri izhaar-e-zat hai 'shabnam'
kahan ke sher-o-adab aur kahan ki shair main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.