faza-e-nilgun ka dhyan chhoD de
fazā-e-nīlgūñ kā dhyān chhoḌ de
parind kis tarah uḌaan chhoḌ de
na.e jahān kī chemistry samajh
ga.e hue dinoñ kā dhyān chhoḌ de
shurūa ho chukī hai jañg shahr meñ
mohabbatoñ ko darmiyān chhoḌ de
zamīn chhoḌ kar kahāñ rahegā tū
ye ḳhvāhishoñ kā āsmān chhoḌ de
qadam se jo qadam nahīñ milā rahā
use kaho vo kārvān chhoḌ de
na.e jahān kā hai karbalā nayā
tū dostoñ kā imtihān chhoḌ de
so ab kahānī ruḳh badal chukī hai dost
yahāñ purānī dāstān chhoḌ de
faza-e-nilgun ka dhyan chhoD de
parind kis tarah uDan chhoD de
nae jahan ki chemistry samajh
gae hue dinon ka dhyan chhoD de
shurua ho chuki hai jang shahr mein
mohabbaton ko darmiyan chhoD de
zamin chhoD kar kahan rahega tu
ye KHwahishon ka aasman chhoD de
qadam se jo qadam nahin mila raha
use kaho wo karwan chhoD de
nae jahan ka hai karbala naya
tu doston ka imtihan chhoD de
so ab kahani ruKH badal chuki hai dost
yahan purani dastan chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.