faza-e-shahr ki nabz-e-KHiram baiTh gai
fazā-e-shahr kī nabz-e-ḳhirām baiTh ga.ī
fasīl-e-shab pe diyā le ke shaam baiTh ga.ī
vo dhuul jis ko haTāyā thā apne chehre se
vo ā.inoñ pe pa.e intiqām baiTh ga.ī
guzarne vaalā hai kyā raushnī kā shahzāda
jo baal khol ke raste meñ shaam baiTh ga.ī
sitam kī dhuup meñ aisā vo ik shajar to hai
ki jis ke saa.e meñ duniyā tamām baiTh ga.ī
maiñ kis nasheb meñ terā lahū talāsh karūñ
tamām dasht pe ḳhāk-e-ḳhiyām baiTh ga.ī
bahut tavīl safar kā thā azm ai 'kāzim'
hayāt chal ke magar chand gaam baiTh ga.ī
faza-e-shahr ki nabz-e-KHiram baiTh gai
fasil-e-shab pe diya le ke sham baiTh gai
wo dhul jis ko haTaya tha apne chehre se
wo aainon pe pae intiqam baiTh gai
guzarne wala hai kya raushni ka shahzada
jo baal khol ke raste mein sham baiTh gai
sitam ki dhup mein aisa wo ek shajar to hai
ki jis ke sae mein duniya tamam baiTh gai
main kis nasheb mein tera lahu talash karun
tamam dasht pe KHak-e-KHiyam baiTh gai
bahut tawil safar ka tha azm ai 'kazim'
hayat chal ke magar chand gam baiTh gai
- Book : کتاب سنگ (Pg. 21)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.