faza-e-tira-shabi ka hisab karna hai
fazā-e-tīra-shabī kā hisāb karnā hai
charāġh-e-shām tujhe māhtāb karnā hai
mirī sarisht meñ dāḳhil vafā kī pābandī
tirā shi.ār musalsal itaab karnā hai
hamāre shānoñ pe hai bojh zindagī kā magar
hamīñ ko fikr-e-azāb-o-savāb karnā hai
zamīñ pe zulm kī khetī bhī suukh jā.egī
bas ek din use hukm-e-azāb karnā hai
lahū kā qatra-e-āḳhir bhī de ke ai 'nāzir'
tamām sehn-e-chaman ko gulāb karnā hai
faza-e-tira-shabi ka hisab karna hai
charagh-e-sham tujhe mahtab karna hai
meri sarisht mein daKHil wafa ki pabandi
tera shiar musalsal itab karna hai
hamare shanon pe hai bojh zindagi ka magar
hamin ko fikr-e-azab-o-sawab karna hai
zamin pe zulm ki kheti bhi sukh jaegi
bas ek din use hukm-e-azab karna hai
lahu ka qatra-e-aKHir bhi de ke ai 'nazir'
tamam sehn-e-chaman ko gulab karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.