faza ki hath mein rakh kar uDan ki KHushbu
fazā ki haath meñ rakh kar uḌaan kī ḳhushbū
badan pe le ki maiñ utrā thakān kī ḳhushbū
maiñ mal rahā huuñ bahut der se zamīñ lekin
paroñ se jaatī nahīñ āsmān kī ḳhushbū
udhar ubuur kiyā pichhlī āzmā.ish ko
udhar se aa.ī na.e imtihān kī ḳhushbū
ujaḌne vaalī hai sabze kī saltanat saarī
zamīñ ugalne lagī hai makān kī ḳhushbū
ḳhudārā ghol de 'fānī' ko aisā ġhazloñ meñ
nadī meñ ghultī hai jaise chaTān kī ḳhushbū
faza ki hath mein rakh kar uDan ki KHushbu
badan pe le ki main utra thakan ki KHushbu
main mal raha hun bahut der se zamin lekin
paron se jati nahin aasman ki KHushbu
udhar ubur kiya pichhli aazmaish ko
udhar se aai nae imtihan ki KHushbu
ujaDne wali hai sabze ki saltanat sari
zamin ugalne lagi hai makan ki KHushbu
KHudara ghol de 'fani' ko aisa ghazlon mein
nadi mein ghulti hai jaise chaTan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.