faza mein aaj hai tari fasurdagi kitni
fazā meñ aaj hai taarī fasurdagī kitnī
hai dil-gudāz anādil kī bebasī kitnī
chalo jalā.eñ har ik samt āgahī ke charāġh
yahī hai vaqt ki har sū hai tīrgī kitnī
na āñdhiy.oñ ke thapeḌe bujhā sake us ko
charāġh-e-rāhguzar meñ thī zindagī kitnī
nazar lage na kahīñ ab havā se laḌtā hai
mizāj-e-yār meñ hai aaj barhamī kitnī
lapaT lagī jo mahal meñ use to chīḳh uThā
jalā ke shahr huī thī use ḳhushī kitnī
kahā na thā ki masā.ib kā kārobār na kar
magar thī terī siyāsat meñ sar-kashī kitnī
zamāne bhar ke añdhere shikast de na sake
us ik charāġh meñ 'az.har' thī raushnī kitnī
faza mein aaj hai tari fasurdagi kitni
hai dil-gudaz anadil ki bebasi kitni
chalo jalaen har ek samt aagahi ke charagh
yahi hai waqt ki har su hai tirgi kitni
na aandhiyon ke thapeDe bujha sake us ko
charagh-e-rahguzar mein thi zindagi kitni
nazar lage na kahin ab hawa se laDta hai
mizaj-e-yar mein hai aaj barhami kitni
lapaT lagi jo mahal mein use to chiKH uTha
jala ke shahr hui thi use KHushi kitni
kaha na tha ki masaib ka karobar na kar
magar thi teri siyasat mein sar-kashi kitni
zamane bhar ke andhere shikast de na sake
us ek charagh mein 'azhar' thi raushni kitni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.