faza mein bu-e-gul-emushk-bar hai ki nahin
fazā meñ bū-e-gul-emushk-bār hai ki nahīñ
havā ke dosh pe paiġhām-e-yār hai ki nahīñ
savāl ye nahīñ vo dost-dār hai ki nahīñ
suḳhan-shanās dil-e-ġham-gusār hai ki nahīñ
karo na zikr subū zar-nigār hai ki nahīñ
ilāj-e-tishnagī-e-bāda-ḳhvār hai ki nahīñ
kisī gadā-e-gurasna ko hai ye hosh kahāñ
koī nigār lab-e-jūebār hai ki nahīñ
kiyā hai azm-e-safar ab nahīñ taraddud kuchh
kahīñ koī shajar-e-sāya-dār hai ki nahīñ
hai ustuvārī-e-āshiq kī bas yahī pahchān
rah-e-vafā meñ ravāñ sū-e-dār hai ki nahīñ
agar ho rizq kā aajir pe inhisār to ye
ḳhilāf-e-va.ada-e-parvardigār hai ki nahīñ
chaman hai jin ke tasarruf meñ un se ye pūchho
lahū hamārā sharīk-e-bahār hai ki nahīñ
kashākash-e-rah-e-hastī se tū pareshāñ hai
haqīqatoñ se ye 'nazmī' farār hai ki nahīñ
faza mein bu-e-gul-emushk-bar hai ki nahin
hawa ke dosh pe paigham-e-yar hai ki nahin
sawal ye nahin wo dost-dar hai ki nahin
suKHan-shanas dil-e-gham-gusar hai ki nahin
karo na zikr subu zar-nigar hai ki nahin
ilaj-e-tishnagi-e-baada-KHwar hai ki nahin
kisi gada-e-gurasna ko hai ye hosh kahan
koi nigar lab-e-juebar hai ki nahin
kiya hai azm-e-safar ab nahin taraddud kuchh
kahin koi shajar-e-saya-dar hai ki nahin
hai ustuwari-e-ashiq ki bas yahi pahchan
rah-e-wafa mein rawan su-e-dar hai ki nahin
agar ho rizq ka aajir pe inhisar to ye
KHilaf-e-wada-e-parwardigar hai ki nahin
chaman hai jin ke tasarruf mein un se ye puchho
lahu hamara sharik-e-bahaar hai ki nahin
kashakash-e-rah-e-hasti se tu pareshan hai
haqiqaton se ye 'nazmi' farar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.