faza mein chhae hue hain udas sannaTe
fazā meñ chhā.e hue haiñ udaas sannāTe
hoñ jaise zulmat-e-shab kā libās sannāTe
tire ḳhayāl kī aahaT ne sard kar Daalā
sulag rahe the abhī ās-pās sannāTe
ḳhudī ke nanhe farishtoñ ko loriyāñ de kar
jagā na deñ kahīñ jismoñ kī pyaas sannāTe
uThāo sang-e-sadā aur zor se pheñko
bikhar hī jā.eñge ye be-qayās sannāTe
ye ahl-e-zarf kī himmat ko āzmāte haiñ
har ek dil ko nahīñ aate raas sannāTe
'salīm' shaam kī tārīkiyāñ baḌhāte haiñ
yahī daraḳht pe laTke udaas sannāTe
faza mein chhae hue hain udas sannaTe
hon jaise zulmat-e-shab ka libas sannaTe
tere KHayal ki aahaT ne sard kar Dala
sulag rahe the abhi aas-pas sannaTe
KHudi ke nanhe farishton ko loriyan de kar
jaga na den kahin jismon ki pyas sannaTe
uThao sang-e-sada aur zor se phenko
bikhar hi jaenge ye be-qayas sannaTe
ye ahl-e-zarf ki himmat ko aazmate hain
har ek dil ko nahin aate ras sannaTe
'salim' sham ki tarikiyan baDhate hain
yahi daraKHt pe laTke udas sannaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.