faza mein shor-e-talatum ho rang-o-bu bhi ho
fazā meñ shor-e-talātum ho rang-o-bū bhī ho
zamīn-e-shahr-e-sitamgar lahū lahū bhī ho
har ik maqām maqām-e-sadā nahīñ hotā
ḳhamosh maiñ bhī rahūñ aur ḳhamosh tū bhī ho
fasīl-e-vahm-o-gumāñ ke nishān bhī na raheñ
mazā to jab hai kisī roz dū-badū bhī ho
hoñ manzileñ tere zer-e-qadam to lāzim hai
taḌap ho dil meñ koī ḳhaas justujū bhī ho
maiñ chāhtā huuñ vo merā rafīq ho jaa.e
vo dil se haath milā.e ye us meñ ḳhū bhī ho
haiñ muntazir ye havā.eñ ki dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ
to apnā chāk-e-garebāñ kahīñ rafū bhī ho
yuuñ ashk aate haiñ āñkhoñ meñ diid se pahle
nigāh diid ke qābil ho bā-vazū bhī ho
faza mein shor-e-talatum ho rang-o-bu bhi ho
zamin-e-shahr-e-sitamgar lahu lahu bhi ho
har ek maqam maqam-e-sada nahin hota
KHamosh main bhi rahun aur KHamosh tu bhi ho
fasil-e-wahm-o-guman ke nishan bhi na rahen
maza to jab hai kisi roz du-badu bhi ho
hon manzilen tere zer-e-qadam to lazim hai
taDap ho dil mein koi KHas justuju bhi ho
main chahta hun wo mera rafiq ho jae
wo dil se hath milae ye us mein KHu bhi ho
hain muntazir ye hawaen ki dhajjiyan uD jaen
to apna chaak-e-gareban kahin rafu bhi ho
yun ashk aate hain aankhon mein did se pahle
nigah did ke qabil ho ba-wazu bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.