faza tark-e-talluq ki badal jae to achchha hai
fazā tark-e-ta.alluq kī badal jaa.e to achchhā hai
jo siine meñ hai vo patthar pighal jaa.e to achchhā hai
mohabbat kī halāvat ho takallum kī sadāqat ho
zabāñ se baat kuchh aisī nikal jaa.e to achchhā hai
ḳhudā se be-niyāzī is qadar achchhī nahīñ hotī
abhī bhī vaqt hai insāñ sañbhal jaa.e to achchhā hai
kisī bhī tarah puure hoñ hamāre dil ke sab armāñ
hamāre dil se ye armāñ nikal jaa.e to achchhā hai
vo jis ke nuur se saarā jahāñ raushan thā ai 'jāzib'
vo haq kī sham.a phir ik baar jal jaa.e to achchhā hai
faza tark-e-talluq ki badal jae to achchha hai
jo sine mein hai wo patthar pighal jae to achchha hai
mohabbat ki halawat ho takallum ki sadaqat ho
zaban se baat kuchh aisi nikal jae to achchha hai
KHuda se be-niyazi is qadar achchhi nahin hoti
abhi bhi waqt hai insan sanbhal jae to achchha hai
kisi bhi tarah pure hon hamare dil ke sab arman
hamare dil se ye arman nikal jae to achchha hai
wo jis ke nur se sara jahan raushan tha ai 'jazib'
wo haq ki shama phir ek bar jal jae to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.