fazaen KHushk thin ghar ki to bahar kyon nahin dekha
fazaen KHushk thin ghar ki to bahar kyon nahin dekha
P P Srivastava Rind
MORE BYP P Srivastava Rind
fazā.eñ ḳhushk thiiñ ghar kī to bāhar kyoñ nahīñ dekhā
darīchoñ se vo hañgāmoñ kā manzar kyoñ nahīñ dekhā
zamīñ ke ḳhushk lab ye mausamoñ kā zahr piite haiñ
to tum ne āsmānoñ kā samundar kyoñ nahīñ dekhā
fazāoñ kī kasak se kuchh taqāze bhī badalte haiñ
havas lamhāt ko tum ne kuchal kar kyoñ nahīñ dekhā
sunā ye hai samundar meñ jazīre bhī numāyāñ the
haTā kar bādbāñ tum ne Thahar kar kyoñ nahīñ dekhā
jo ghar meñ chhoḌ aayā thā kafan oḌhe hue rishte
na jaane us ne bastī ko palaT kar kyoñ nahīñ dekhā
sunā hai barf se bhī ungliyāñ logoñ kī jaltī haiñ
to tum ne sard añgāroñ ko chhū kar kyoñ nahīñ dekhā
janāb-e-'rind' tum to pūjte aa.e ho patthar ko
jo darvāze pe chaspāñ hai vo patthar kyoñ nahīñ dekhā
fazaen KHushk thin ghar ki to bahar kyon nahin dekha
darichon se wo hangamon ka manzar kyon nahin dekha
zamin ke KHushk lab ye mausamon ka zahr pite hain
to tum ne aasmanon ka samundar kyon nahin dekha
fazaon ki kasak se kuchh taqaze bhi badalte hain
hawas lamhat ko tum ne kuchal kar kyon nahin dekha
suna ye hai samundar mein jazire bhi numayan the
haTa kar baadban tum ne Thahar kar kyon nahin dekha
jo ghar mein chhoD aaya tha kafan oDhe hue rishte
na jaane us ne basti ko palaT kar kyon nahin dekha
suna hai barf se bhi ungliyan logon ki jalti hain
to tum ne sard angaron ko chhu kar kyon nahin dekha
janab-e-'rind' tum to pujte aae ho patthar ko
jo darwaze pe chaspan hai wo patthar kyon nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.