fida hai dil payambar par hamara
fidā hai dil payambar par hamārā
dilā hai auj par aḳhtar hamārā
tasavvur hai ruḳh-e-raushan kā dil meñ
munavvar āj-kal hai ghar hamārā
vasīla ham ko haath aaya hai bartar
shafī.a-e-hashr hai sarvar hamārā
ham ab maddāh-e-shāh-e-bahr-o-bar haiñ
musaḳhḳhar hogā bahr-o-bar hamārā
hameñ bīmārī-e-hijrāñ hai yā shaah
usī se haal hai abtar hamārā
paḌe haiñ hind meñ ham yā shah-e-dīñ
taḌaptā hai dil-e-muztar hamārā
na tāqat hai pahuñchne kī na hai sabr
muayyan hai koī nayyar hamārā
kashish bahr-e-ḳhudā ab kiije aisī
ki shauq-e-dil hī ho rahbar hamārā
vo sang-e-āstāñ aur ḳhaak vaañ kī
ye bālish aur vo bistar hamārā
yahī ḳhvāhish hai aur hai ye hī ummīd
yahī kaafī hai karr-o-far hamārā
atā farmā tavakkul aur qanā.at
bhaTaktā jaa.e ye dar dar hamārā
'fidā' apnī duā ho ye bhī maqbūl
dar-e-mahbūb ho aur sar hamārā
fida hai dil payambar par hamara
dila hai auj par aKHtar hamara
tasawwur hai ruKH-e-raushan ka dil mein
munawwar aaj-kal hai ghar hamara
wasila hum ko hath aaya hai bartar
shafia-e-hashr hai sarwar hamara
hum ab maddah-e-shah-e-bahr-o-bar hain
musaKHKHar hoga bahr-o-bar hamara
hamein bimari-e-hijran hai ya shah
usi se haal hai abtar hamara
paDe hain hind mein hum ya shah-e-din
taDapta hai dil-e-muztar hamara
na taqat hai pahunchne ki na hai sabr
muayyan hai koi nayyar hamara
kashish bahr-e-KHuda ab kije aisi
ki shauq-e-dil hi ho rahbar hamara
wo sang-e-astan aur KHak wan ki
ye baalish aur wo bistar hamara
yahi KHwahish hai aur hai ye hi ummid
yahi kafi hai karr-o-far hamara
ata farma tawakkul aur qanaat
bhaTakta jae ye dar dar hamara
'fida' apni dua ho ye bhi maqbul
dar-e-mahbub ho aur sar hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.