fida hai ijz teri shan-e-kibriyai ka
fidā hai ijz tirī shān-e-kibriyā.ī kā
koī dikhā.e ye andāz ḳhud-numā.ī kā
darūd paḌhte ho āñkhoñ ko dekh kar apnī
bahāna karte ho kyoñ surme kī salā.ī kā
huī jo umr ziyāda to ye huā zāhir
shabāb hī meñ mazā kuchh hai āshnā.ī kā
paroñ meñ uḌne kī tāqat hī ab nahīñ baaqī
ḳhayāl bhī hameñ hotā nahīñ rihā.ī kā
butoñ kī chaal meñ 'gustāḳh' aa nahīñ saktā
chhaTā huā hai vo kambaḳht ik ḳhudā.ī kā
fida hai ijz teri shan-e-kibriyai ka
koi dikhae ye andaz KHud-numai ka
darud paDhte ho aankhon ko dekh kar apni
bahana karte ho kyon surme ki salai ka
hui jo umr ziyaada to ye hua zahir
shabab hi mein maza kuchh hai aashnai ka
paron mein uDne ki taqat hi ab nahin baqi
KHayal bhi hamein hota nahin rihai ka
buton ki chaal mein 'gustaKH' aa nahin sakta
chhaTa hua hai wo kambaKHt ek KHudai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.