fida ho jis masiha-e-zaman par
fidā ho jis masīhā-e-zamāñ par
dimāġh us kā ho chauthe āsmāñ par
buto aage ḳhudā ke bhī tumhārā
na lā.eñge kabhū shikva zabāñ par
bahār afshāñ kī dikhlāve jo vo mah
kareñ jagmag na taare āsmāñ par
huī miTTī ḳharāb ai 'faiz' us kī
jab aayā koī mere imtihāñ par
usī ke muñh pe girtī ham ne dekhā
uḌaa.ī ḳhaak jis ne āsmāñ par
fida ho jis masiha-e-zaman par
dimagh us ka ho chauthe aasman par
buto aage KHuda ke bhi tumhaara
na laenge kabhu shikwa zaban par
bahaar afshan ki dikhlawe jo wo mah
karen jagmag na tare aasman par
hui miTTi KHarab ai 'faiz' us ki
jab aaya koi mere imtihan par
usi ke munh pe girti hum ne dekha
uDai KHak jis ne aasman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.