fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi
fikr-e-ījād meñ huuñ khol nayā dar koī
kunj-e-gul bhej mirī shāḳh-e-hunar par koī
rañg kuchh aur nichoḌeñge lahū se apne
phir tarāsheñge ham ik aur nayā paikar koī
bhej kuchh taaza kumak mere musāfir ke liye
phir utartā hai mire dasht meñ lashkar koī
āstīnoñ meñ havāoñ ne chhupāyā huā hai
ham ne dekhā hai chamaktā huā ḳhanjar koī
kyā huā ab ki safar meñ ye mujhe yaad nahīñ
mujh se royā thā bahut der lipaT kar koī
zaḳhm āñkhoñ se Tapaktā hai lahū kī sūrat
yuuñ chalātā hai mire siine meñ nashtar koī
ḳhud ta.āqub meñ mirī ghaat lagā.e kab se
chhup ke baiThā hai mire jism ke andar koī
ek sāhil kā tamāshā.ī hai bas merā vajūd
merī miTTī meñ hai poshīda samundar koī
apnī fikroñ se lahū karte haiñ lafzoñ meñ kashīd
'shāhid' aise nahīñ hotā hai suḳhnavar koī
fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi
kunj-e-gul bhej meri shaKH-e-hunar par koi
rang kuchh aur nichoDenge lahu se apne
phir tarashenge hum ek aur naya paikar koi
bhej kuchh taza kumak mere musafir ke liye
phir utarta hai mere dasht mein lashkar koi
aastinon mein hawaon ne chhupaya hua hai
hum ne dekha hai chamakta hua KHanjar koi
kya hua ab ki safar mein ye mujhe yaad nahin
mujh se roya tha bahut der lipaT kar koi
zaKHm aankhon se Tapakta hai lahu ki surat
yun chalata hai mere sine mein nashtar koi
KHud taaqub mein meri ghat lagae kab se
chhup ke baiTha hai mere jism ke andar koi
ek sahil ka tamashai hai bas mera wajud
meri miTTi mein hai poshida samundar koi
apni fikron se lahu karte hain lafzon mein kashid
'shahid' aise nahin hota hai suKHnawar koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.