fikr-e-kaba kuchh hai kuchh hai shauq-e-but-KHana mujhe
fikr-e-ka.aba kuchh hai kuchh hai shauq-e-but-ḳhāna mujhe
dil bahalne ko hai kaafī bazm-e-rindāna mujhe
rang laa.ī hai mirī dīvāngī muddat ke baa'd
kah rahā hai aaj koī apnā dīvāna mujhe
nang-e-mai-ḳhāna samajh kar mujh ko bāhar kar diyā
yaad ab kyoñ kar rahā hai pīr-e-mai-ḳhāna mujhe
sham.a-rūoñ se nahīñ umīd-e-dād-e-soz-e-ishq
ye ġhanīmat hai samajh leñ apnā parvāna mujhe
ruḳh thā kā'be kī taraf uThte na the lekin qadam
shauq jaise khīñchtā ho sū-e-but-ḳhāna mujhe
vo mohabbat kī adā.eñ aur vo andāz-e-nazar
'umr bhar yaad aa.egā vo nāz-e-mastāna mujhe
tujh ko qassām-e-azal denā na thā ye ishq-e-ḳhām
kaash dil ke saath detā soz-e-parvāna mujhe
muddatoñ gardish meñ paimāna rahā mere liye
dekhtā hai aaj kis hasrat se paimāna mujhe
'zabt' ab kuchh hai umīd-e-irtiqā-e-zindagī
dil meñ aatā hai nazar phir rang-e-mai-ḳhāna mujhe
fikr-e-kaba kuchh hai kuchh hai shauq-e-but-KHana mujhe
dil bahalne ko hai kafi bazm-e-rindana mujhe
rang lai hai meri diwangi muddat ke ba'd
kah raha hai aaj koi apna diwana mujhe
nang-e-mai-KHana samajh kar mujh ko bahar kar diya
yaad ab kyon kar raha hai pir-e-mai-KHana mujhe
shama-ruon se nahin umid-e-dad-e-soz-e-ishq
ye ghanimat hai samajh len apna parwana mujhe
ruKH tha ka'be ki taraf uThte na the lekin qadam
shauq jaise khinchta ho su-e-but-KHana mujhe
wo mohabbat ki adaen aur wo andaz-e-nazar
'umr bhar yaad aaega wo naz-e-mastana mujhe
tujh ko qassam-e-azal dena na tha ye ishq-e-KHam
kash dil ke sath deta soz-e-parwana mujhe
muddaton gardish mein paimana raha mere liye
dekhta hai aaj kis hasrat se paimana mujhe
'zabt' ab kuchh hai umid-e-irtiqa-e-zindagi
dil mein aata hai nazar phir rang-e-mai-KHana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.