fikr-e-maash aur meri shairi tamam
fikr-e-ma.āsh aur mirī shā.irī tamām
donoñ hī āstīñ meñ pale zindagī tamām
ham laġhzish-e-ḳhafīf pe nikle the ḳhuld se
ġhārat tire ġhurūr ne kī bandagī tamām
lāhaq huā hai ishq to mere vajūd se
ristī hai roz-o-shab hī mirī dil-lagī tamām
joñkeñ tumhārī yaad kī chipkī haiñ dil ke saath
piitī raheñgī ḳhuun mirā zindagī tamām
tujh ko tirā ghamanD mubārak huā kare
apnī 'nadīm' ājizī meñ kaT ga.ī tamām
fikr-e-maash aur meri shairi tamam
donon hi aastin mein pale zindagi tamam
hum laghzish-e-KHafif pe nikle the KHuld se
ghaarat tere ghurur ne ki bandagi tamam
lahaq hua hai ishq to mere wajud se
risti hai roz-o-shab hi meri dil-lagi tamam
jonken tumhaari yaad ki chipki hain dil ke sath
piti rahengi KHun mera zindagi tamam
tujh ko tera ghamanD mubarak hua kare
apni 'nadim' aajizi mein kaT gai tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.