fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai
fikr-e-naqqād-e-adab dirham-o-dīnār meñ hai
kaun sī jins-e-suḳhan kūcha-o-bāzār meñ hai
garmī-e-husn mirī garmī-e-afkār meñ hai
vo agar mujh meñ nahīñ hai mire ash.ār meñ hai
pā-ba-zanjīr mujhe laakh zamāna samjhe
mire qadmoñ kī dhamak vaqt kī raftār meñ hai
raat qaabū meñ rahe shahr ke hālāt magar
laash ik lipTī huī sub.h ke aḳhbār meñ hai
koī āvāra sā jhoñkā koī bāġhī sā ḳhayāl
jis se maiñ ḳhauf-zada huuñ mire ash.ār meñ hai
kal isī ghar meñ ġhazal us ne sunā.ī hogī
jānī-pahchānī sī ḳhushbū dar-o-dīvār meñ hai
sāhil-e-maslahat-e-vaqt mujhe jaane de
us safīne ne pukārā hai jo majdhār meñ hai
vo mohabbat kā mujāhid vo muravvat kā shahīd
kal kā 'saulat' abhī zinda mire afkār meñ hai
fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai
kaun si jins-e-suKHan kucha-o-bazar mein hai
garmi-e-husn meri garmi-e-afkar mein hai
wo agar mujh mein nahin hai mere ashaar mein hai
pa-ba-zanjir mujhe lakh zamana samjhe
mere qadmon ki dhamak waqt ki raftar mein hai
raat qabu mein rahe shahr ke haalat magar
lash ek lipTi hui subh ke aKHbar mein hai
koi aawara sa jhonka koi baghi sa KHayal
jis se main KHauf-zada hun mere ashaar mein hai
kal isi ghar mein ghazal us ne sunai hogi
jaani-pahchani si KHushbu dar-o-diwar mein hai
sahil-e-maslahat-e-waqt mujhe jaane de
us safine ne pukara hai jo majdhaar mein hai
wo mohabbat ka mujahid wo murawwat ka shahid
kal ka 'saulat' abhi zinda mere afkar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.