fikr-e-ranj-o-alam aur main
fikr-e-rañj-o-alam aur maiñ
hamrāhī ik ġham aur maiñ
terī bāteñ karte haiñ
raat davāt qalam aur maiñ
tujh ko DhūñDte rahte haiñ
merī chashm-e-nam aur maiñ
paas hai mere internet
haath meñ jām-e-jam aur maiñ
ek to terī kaj-ḳhulqī
phir duniyā ke sitam aur maiñ
kab tak saath jaleñ 'rāshid'
hijr ke ye mausam aur maiñ
fikr-e-ranj-o-alam aur main
hamrahi ek gham aur main
teri baaten karte hain
raat dawat qalam aur main
tujh ko DhunDte rahte hain
meri chashm-e-nam aur main
pas hai mere internet
hath mein jam-e-jam aur main
ek to teri kaj-KHulqi
phir duniya ke sitam aur main
kab tak sath jalen 'rashid'
hijr ke ye mausam aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.