Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr-e-ranj-o-rahat kaisi

Wazir Ali Saba Lakhnavi

fikr-e-ranj-o-rahat kaisi

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    fikr-e-ranj-o-rāhat kaisī

    dozaḳh kaisā jannat kaisī

    badlī un aadat kaisī

    ulTī apnī qismat kaisī

    har shai meñ hai us jalva

    kasrat meñ hai vahdat kaisī

    aapas meñ ai gabrū musalmāñ

    nāhaq nāhaq hujjat kaisī

    ulfat meñ zillat rakkhī hai

    izzat kaisī hurmat kaisī

    zohd-e-zāhid lā-hāsil hai

    begārī ko ujrat kaisī

    sun kar merī sīna-kūbī

    bole vo ye naubat kaisī

    chashm-e-vahdat-e-bīñ ke aage

    ā.īne sūrat kaisī

    mar jā.eñge ham furqat meñ

    rah jā.egī hasrat kaisī

    aalam hai ai mah-rū tujh par

    shahroñ meñ hai shohrat kaisī

    uTTheñge jab vo sohbat se

    barham hogī sohbat kaisī

    be-ḳhud ho merī sūrat

    ai suufī ye hālat kaisī

    duniyā ke jhagḌoñ se chhūTe

    mar kar paa.ī fursat kaisī

    zulfoñ ke phandoñ se nikle

    Taalī sar se aafat kaisī

    fasl-e-gul ke aate aate

    so jaatī hai vahshat kaisī

    fikr-e-ranj-o-rahat kaisi

    dozaKH kaisa jannat kaisi

    badli un ki aadat kaisi

    ulTi apni qismat kaisi

    har shai mein hai us ka jalwa

    kasrat mein hai wahdat kaisi

    aapas mein ai gabru musalman

    nahaq nahaq hujjat kaisi

    ulfat mein zillat rakkhi hai

    izzat kaisi hurmat kaisi

    zohd-e-zahid la-hasil hai

    begari ko ujrat kaisi

    sun kar meri sina-kubi

    bole wo ye naubat kaisi

    chashm-e-wahdat-e-bin ke aage

    aaine ki surat kaisi

    mar jaenge hum furqat mein

    rah jaegi hasrat kaisi

    aalam hai ai mah-ru tujh par

    shahron mein hai shohrat kaisi

    uTThenge jab wo sohbat se

    barham hogi sohbat kaisi

    be-KHud ho ja meri surat

    ai sufi ye haalat kaisi

    duniya ke jhagDon se chhuTe

    mar kar pai fursat kaisi

    zulfon ke phandon se nikle

    Tali sar se aafat kaisi

    fasl-e-gul ke aate aate

    so jati hai wahshat kaisi

    Source :
    • Ghuncha-e-Arzu
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now