fikr ke dhage mein lafzon ko piro dene ke baad
fikr ke dhāge meñ lafzoñ ko piro dene ke baad
maiñ vo shā.ir huuñ jo hañs detā hai ro dene ke baad
hausla to dekhiye aa.e ayādat ke liye
yaar merī pusht meñ ḳhanjar chubho dene ke baad
yaañ nahīñ to vaañ khulegā raaz mere qatl kā
bach nahīñ sakte lahū ke daaġh dho dene ke baad
chhoḌne vaale tujhe mā'lūm honā chāhiye
qīmtī shai DhūñDne niklegā kho dene ke baad
zaat ke sayyad haiñ apnī baat ke pakke haiñ ham
dil to kyā kuchh bhī nahīñ lete suno dene ke baad
ham mohabbat kī nazar se dekhte haiñ har taraf
nafratoñ ke biij zer-e-qalb bo dene ke baad
fikr ke dhage mein lafzon ko piro dene ke baad
main wo shair hun jo hans deta hai ro dene ke baad
hausla to dekhiye aae ayaadat ke liye
yar meri pusht mein KHanjar chubho dene ke baad
yan nahin to wan khulega raaz mere qatl ka
bach nahin sakte lahu ke dagh dho dene ke baad
chhoDne wale tujhe ma'lum hona chahiye
qimti shai DhunDne niklega kho dene ke baad
zat ke sayyad hain apni baat ke pakke hain hum
dil to kya kuchh bhi nahin lete suno dene ke baad
hum mohabbat ki nazar se dekhte hain har taraf
nafraton ke bij zer-e-qalb bo dene ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.