fikr ke jab bhi panw uThenge tere ghar tak jaenge
fikr ke jab bhī paañv uTheñge tere ghar tak jā.eñge
duniyā bhar ko dekhne vaale merī nazar tak jā.eñge
ham ne jī kar dekh liyā hai ye dhartī to tang rahī
dosto ab ye soch rahe haiñ shams-o-qamar tak jā.eñge
tabdīlī is nazm-e-kuhan kī aaj nahīñ to kal hogī
jin raste ye raaz mileñge aisī Dagar tak jā.eñge
baiThe baiThe soch rahe ho haath na kuchh lagne vaalā
jin ko phaloñ kī ḳhvāhish hogī vo hī shajar tak jā.eñge
sher-o-suḳhan kī mahfil meñ sab muñh laTkā.e baiThe haiñ
ham to apne sher sunāne ahl-e-nazar tak jā.eñge
sab ne aisā soch liyā manzil āsāñ ho jā.egī
'shā.ista' jo raah chale us rāhguzar tak jā.eñge
fikr ke jab bhi panw uThenge tere ghar tak jaenge
duniya bhar ko dekhne wale meri nazar tak jaenge
hum ne ji kar dekh liya hai ye dharti to tang rahi
dosto ab ye soch rahe hain shams-o-qamar tak jaenge
tabdili is nazm-e-kuhan ki aaj nahin to kal hogi
jin raste ye raaz milenge aisi Dagar tak jaenge
baiThe baiThe soch rahe ho hath na kuchh lagne wala
jin ko phalon ki KHwahish hogi wo hi shajar tak jaenge
sher-o-suKHan ki mahfil mein sab munh laTkae baiThe hain
hum to apne sher sunane ahl-e-nazar tak jaenge
sab ne aisa soch liya manzil aasan ho jaegi
'shaista' jo rah chale us rahguzar tak jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.