fikr kije to zamin-o-asman ki kijiye
fikr kiije to zamīn-o-āsmāñ kī kījiye
baat apnī hī nahīñ saare jahāñ kī kījiye
tazkira sahrā-nashīnoñ kā bhī rakhiye sāmne
baat jab bhī sakinān-e-gulistāñ kī kījiye
zindagī ko zindagī kī shakl denī ho to phir
baat hamdam imtihāñ dar imtihāñ kī kījiye
dil meñ ghar karnā hai duniyā ke to sab se peshtar
kuchh durustī apne aḳhlāq-o-zabāñ kī kījiye
kuchh to us kī jāñ-fishānī kā use dījiye sila
yaad gaahe gaahe nazm-e-bāġhbāñ kī kījiye
jis zabāñ ne aap ko baḳhshā hai andāz-e-kalām
parvarish apne lahū se us zabāñ kī kījiye
fikr kije to zamin-o-asman ki kijiye
baat apni hi nahin sare jahan ki kijiye
tazkira sahra-nashinon ka bhi rakhiye samne
baat jab bhi sakinan-e-gulistan ki kijiye
zindagi ko zindagi ki shakl deni ho to phir
baat hamdam imtihan dar imtihan ki kijiye
dil mein ghar karna hai duniya ke to sab se peshtar
kuchh durusti apne aKHlaq-o-zaban ki kijiye
kuchh to us ki jaan-fishani ka use dijiye sila
yaad gahe gahe nazm-e-baghban ki kijiye
jis zaban ne aap ko baKHsha hai andaz-e-kalam
parwarish apne lahu se us zaban ki kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.