fikr ko KHwab KHayalat ko fani likhna
fikr ko ḳhvāb ḳhayālāt ko faanī likhnā
zindagī aañkh churā.e to kahānī likhnā
shāḳh pe phuul khile hoñ bhī to kuchh farq nahīñ
tum bahāroñ ko bhī ab daur-e-ḳhizānī likhnā
yuuñ bhī ho jā.egī tasnīf mukammal yaaro
kuchh rivāyāt se kuchh apnī zabānī likhnā
chāñd likhnā to nigāhoñ meñ ho chehra us kā
chāñdnī barse to maujoñ kī ravānī likhnā
ḳhat ba-har-hāl rahe ba.is-e-taskīn 'asad'
koī mausam ho yahāñ shaam suhānī likhnā
fikr ko KHwab KHayalat ko fani likhna
zindagi aankh churae to kahani likhna
shaKH pe phul khile hon bhi to kuchh farq nahin
tum bahaaron ko bhi ab daur-e-KHizani likhna
yun bhi ho jaegi tasnif mukammal yaro
kuchh riwayat se kuchh apni zabani likhna
chand likhna to nigahon mein ho chehra us ka
chandni barse to maujon ki rawani likhna
KHat ba-har-haal rahe bais-e-taskin 'asad'
koi mausam ho yahan sham suhani likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.