fikr meri KHayal mera hai
fikr merī ḳhayāl merā hai
naam un kā kamāl merā hai
chaḌhtā sūraj uruuj hai un kā
Dhaltā saaya zavāl merā hai
farq itnā hai un ke mere biich
phuul un ke nihāl merā hai
aa chalā hai yaqīn barsoñ ba.ad
ye mahīne ye saal merā hai
is meñ hālāt kā qusūr nahīñ
dosh pe sar-o-bāl merā hai
kyoñ zamīñ tañg hai ġharīboñ par
āsmāñ se savāl merā hai
rah ke apnoñ ke darmiyāñ 'ḳhusrav'
kyā batā.ūñ jo haal merā hai
fikr meri KHayal mera hai
nam un ka kamal mera hai
chaDhta suraj uruj hai un ka
Dhalta saya zawal mera hai
farq itna hai un ke mere bich
phul un ke nihaal mera hai
aa chala hai yaqin barson baad
ye mahine ye sal mera hai
is mein haalat ka qusur nahin
dosh pe sar-o-baal mera hai
kyon zamin tang hai gharibon par
aasman se sawal mera hai
rah ke apnon ke darmiyan 'KHusraw'
kya bataun jo haal mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.