fikr se alfaz tak phaila hua meri tarah
fikr se alfāz tak phailā huā merī tarah
maiñ na thā sach hai magar vo kaun thā merī tarah
kab gumāñ guzrā ki tanhā.ī meñ sannāTā koī
dāstāñ apnī sunā kar chup huā merī tarah
kuchh na kuchh pahchān apnī chhoḌ jaatā vo zarūr
ban ke bahr-e-be-karāñ jo phailtā merī tarah
koī saaya bhī nahīñ thā zindagī ke dasht meñ
jheltā jo be-yaqīnī kī sazā merī tarah
aa.ine kahte nahīñ lekin mujhe ma.alūm hai
ret mujh jaisī hai parbat kī havā merī tarah
koī apnī zaat kā irfān paane ke liye
ho na jaa.e apne andar khokhlā merī tarah
sabz rut kī dāstāñ jalte hue aurāq par
koī mere baad bhī kyā likh sakā merī tarah
ai ġharīb-e-shahr ai begāna-e-harf-e-navā
pāniyoñ par naqsh apnā chhoḌ jā merī tarah
fikr se alfaz tak phaila hua meri tarah
main na tha sach hai magar wo kaun tha meri tarah
kab guman guzra ki tanhai mein sannaTa koi
dastan apni suna kar chup hua meri tarah
kuchh na kuchh pahchan apni chhoD jata wo zarur
ban ke bahr-e-be-karan jo phailta meri tarah
koi saya bhi nahin tha zindagi ke dasht mein
jhelta jo be-yaqini ki saza meri tarah
aaine kahte nahin lekin mujhe malum hai
ret mujh jaisi hai parbat ki hawa meri tarah
koi apni zat ka irfan pane ke liye
ho na jae apne andar khokhla meri tarah
sabz rut ki dastan jalte hue auraq par
koi mere baad bhi kya likh saka meri tarah
ai gharib-e-shahr ai begana-e-harf-e-nawa
paniyon par naqsh apna chhoD ja meri tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.