fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae
fikr soī hai sar-e-shām jagā dī jaa.e
ek bujhtī sī añgīThī ko havā dī jaa.e
kisī jañgal meñ agar ho to bujhā dī jaa.e
kaise tan-man meñ lagī aag dabā dī jaa.e
talḳhi-e-zīst kī shiddat kā taqāza hai yahī
zehn o dil meñ jo masāfat hai ghaTā dī jaa.e
tīrgī shab kī basī jaa.e hai hastī meñ mirī
sub.h ko jā ke ye rūdād sunā dī jaa.e
ishq vāloñ kī fuġhāñ zabt-e-fuġhāñ hotī hai
āshiq-e-vaqt ko ye baat batā dī jaa.e
ḳhāk-e-sahrā to bahut duur hai ai vahshat-e-dil
kyuuñ na zehnoñ pe jamī gard uḌā dī jaa.e
vo haqīqat jo nigāhoñ se ayaañ hotī hai
kaise ādāb ke parde meñ chhupā dī jaa.e
fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae
ek bujhti si angiThi ko hawa di jae
kisi jangal mein agar ho to bujha di jae
kaise tan-man mein lagi aag daba di jae
talKHi-e-zist ki shiddat ka taqaza hai yahi
zehn o dil mein jo masafat hai ghaTa di jae
tirgi shab ki basi jae hai hasti mein meri
subh ko ja ke ye rudad suna di jae
ishq walon ki fughan zabt-e-fughan hoti hai
aashiq-e-waqt ko ye baat bata di jae
KHak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil
kyun na zehnon pe jami gard uDa di jae
wo haqiqat jo nigahon se ayan hoti hai
kaise aadab ke parde mein chhupa di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.