firaq-asar lamhon ki duhai kaun dega
firāq-āsār lamhoñ kī duhā.ī kaun degā
tire chehre ke sūraj meñ dikhā.ī kaun degā
mujhe ik baat kahnā hai use kitne yugoñ se
magar sahrā kī vus.at meñ sunā.ī kaun degā
jo ik bekal sī ḳhushbū mere andar phūTtī hai
use us ke darīche tak rasā.ī kaun degā
kisī kī qaid se chhuTnā to ḳhair ik mas.ala hai
mujhe mere hī zindāñ se rihā.ī kaun degā
maiñ sultāñ ke dar-e-daulat pe ik dastak to de luuñ
magar is haath ko zauq-e-gadā.ī kaun degā
firaq-asar lamhon ki duhai kaun dega
tere chehre ke suraj mein dikhai kaun dega
mujhe ek baat kahna hai use kitne yugon se
magar sahra ki wusat mein sunai kaun dega
jo ek bekal si KHushbu mere andar phuTti hai
use us ke dariche tak rasai kaun dega
kisi ki qaid se chhuTna to KHair ek masala hai
mujhe mere hi zindan se rihai kaun dega
main sultan ke dar-e-daulat pe ek dastak to de lun
magar is hath ko zauq-e-gadai kaun dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.