firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai
firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai
Ameer Hamza Salfi
MORE BYAmeer Hamza Salfi
firāq-e-shab kī aziyyatoñ kā kalām dukh hai tamām dukh hai
yahāñ har ik moḌ par har ik shai kā naam dukh hai tamām dukh hai
samajh sakā ek bhī na jab vo savāl merā javāb merā
lage hai mujh ko ki merā saarā kalām dukh hai tamām dukh hai
ḳhushī bhī aave hai aur ġhamī bhī ye zindagī kā safar hai pyāre
ḳhushī hai maz.har bahār kā ġham kā naam dukh hai tamām dukh hai
qadam jamā.e khaḌe raho tum na hausle past hone denā
hai aane vaalā jo ek aage maqām dukh hai tamām dukh hai
ye siskiyāñ ye muhīb rāteñ ye be-qarārī amiir 'hamza'
haiñ rog jitne bhī un sabhī kā 'imām' dukh hai tamām dukh hai
firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai
yahan har ek moD par har ek shai ka nam dukh hai tamam dukh hai
samajh saka ek bhi na jab wo sawal mera jawab mera
lage hai mujh ko ki mera sara kalam dukh hai tamam dukh hai
KHushi bhi aawe hai aur ghami bhi ye zindagi ka safar hai pyare
KHushi hai mazhar bahaar ka gham ka nam dukh hai tamam dukh hai
qadam jamae khaDe raho tum na hausle past hone dena
hai aane wala jo ek aage maqam dukh hai tamam dukh hai
ye siskiyan ye muhib raaten ye be-qarari amir 'hamza'
hain rog jitne bhi un sabhi ka 'imam' dukh hai tamam dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.