Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-e-yar ka KHatra visal-e-yar mein hai

Natiq Lakhnavi

firaq-e-yar ka KHatra visal-e-yar mein hai

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    firāq-e-yār ḳhatra visāl-e-yār meñ hai

    ḳhizāñ fikr ḳhizāñ meñ na thī bahār meñ hai

    ulajh rahā huuñ ki dil merā kis shumār meñ hai

    na iḳhtiyār se bāhar na iḳhtiyār meñ hai

    chaman kahāñ jo ḳhayāl-e-ḳhizāñ chaman meñ rahe

    bahār vo nahīñ hosh jis bahār meñ hai

    yahāñ to zikr ko kaafī nahīñ dilī harkāt

    hazār daana tasbīh kis shumār meñ hai

    chaman meñ ke garebāñ ko chaak kar 'nātiq'

    sunā hai mausam-e-gul tere intizār meñ hai

    firaq-e-yar ka KHatra visal-e-yar mein hai

    KHizan ki fikr KHizan mein na thi bahaar mein hai

    ulajh raha hun ki dil mera kis shumar mein hai

    na iKHtiyar se bahar na iKHtiyar mein hai

    chaman kahan jo KHayal-e-KHizan chaman mein rahe

    bahaar hi wo nahin hosh jis bahaar mein hai

    yahan to zikr ko kafi nahin dili harkat

    hazar dana ki tasbih kis shumar mein hai

    chaman mein ja ke gareban ko chaak kar 'natiq'

    suna hai mausam-e-gul tere intizar mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now