firaq-e-yar mein KHud ko tamam karte hue
firāq-e-yār meñ ḳhud ko tamām karte hue
maiñ ro rahā huuñ ḳhushī ġham ke naam karte hue
yuuñ terī yaad hai aatī ki jaise galiyoñ se
barāt guzre koī dhūm-dhām karte hue
vahī to hotā hai har pal mire taḳhayyul meñ
maiñ sher kahtā huuñ us se kalām karte hue
maiñ qais huuñ so mujhe dasht meñ hī rahne do
nahiñ jī pā.ūñgā ye tām-jhām karte hue
ai ishq maan liyā thoḌī apnī ġhalatī thī
zarā sā soch to jiinā harām karte hue
firaq-e-yar mein KHud ko tamam karte hue
main ro raha hun KHushi gham ke nam karte hue
yun teri yaad hai aati ki jaise galiyon se
baraat guzre koi dhum-dham karte hue
wahi to hota hai har pal mere taKHayyul mein
main sher kahta hun us se kalam karte hue
main qais hun so mujhe dasht mein hi rahne do
nahin ji paunga ye tam-jham karte hue
ai ishq man liya thoDi apni ghalati thi
zara sa soch to jina haram karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.