firaq-mausam ke aasman mein ujaD tare juDe hue hain
firāq-mausam ke āsmāñ meñ ujaaḌ taare juḌe hue haiñ
nadī ke dāman meñ hansrājoñ ke sard lāshe gire hue haiñ
chamakte mausam kā rañg phailā thā jis se āñkheñ dhanak huī thiiñ
aur ab basārat kī narm miTTī meñ thuur kāñTe uge hue haiñ
tire darīche ke ḳhvāb dekhe the raqs karte hue dinoñ meñ
ye din to dekho jo aaj niklā hai dast-o-pā sab kaTe hue haiñ
ḳhumār kaisā thā ham-rahī kā shumār ghaḌiyoñ kā bhuul baiThe
tire nagar ke faqīr ab tak us ek shab meñ ruke hue haiñ
use adāvat thī us sabā se jo mere chehre ko chhū guzartī
vo ab nahīñ hai to apne āñgan meñ lū ke Dere lage hue haiñ
rahoge thāme yūñhī ye chaukhaT agarche ik bhī nazar na Dālūñ
hañsāo mat ghar ko lauT jaao ye raag mere sune hue haiñ
kahāñ ruke the vo kyā shajar the ki jin ke saa.e meñ ham khaḌe the
vo dhuup kaisī thī jis kī bārish se mere sahrā hare hue haiñ
firaq-mausam ke aasman mein ujaD tare juDe hue hain
nadi ke daman mein hansrajon ke sard lashe gire hue hain
chamakte mausam ka rang phaila tha jis se aankhen dhanak hui thin
aur ab basarat ki narm miTTi mein thur kanTe uge hue hain
tere dariche ke KHwab dekhe the raqs karte hue dinon mein
ye din to dekho jo aaj nikla hai dast-o-pa sab kaTe hue hain
KHumar kaisa tha ham-rahi ka shumar ghaDiyon ka bhul baiThe
tere nagar ke faqir ab tak us ek shab mein ruke hue hain
use adawat thi us saba se jo mere chehre ko chhu guzarti
wo ab nahin hai to apne aangan mein lu ke Dere lage hue hain
rahoge thame yunhi ye chaukhaT agarche ek bhi nazar na Dalun
hansao mat ghar ko lauT jao ye rag mere sune hue hain
kahan ruke the wo kya shajar the ki jin ke sae mein hum khaDe the
wo dhup kaisi thi jis ki barish se mere sahra hare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.