firaq-o-hijr ke lamhe jo Tal gae hote
firāq-o-hijr ke lamhe jo Tal ga.e hote
hamāre zehn ke ḳhāke badal ga.e hote
vo maslahat kā taqāzā agar samajh jaatā
tamām shahr ke lahje badal ga.e hote
agar sharīk-e-safar vo bhī ho gayā hotā
tamāzatoñ ke ye sūraj bhī Dhal ga.e hote
qadam uThā.e haiñ kuchh soch kar mohabbat meñ
sañbhalnā hotā hameñ to sañbhal ga.e hote
vafā-pasand agar vo bhī ho gayā hotā
hamāre rāste kitne badal ga.e hote
jo thoḌī der na aatā ḳhayāl-e-tanhā.ī
tumhāre shahr kī had se nikal ga.e hote
'nazar' ko mohlat-e-nazzārgī agar miltī
nigāh-e-shauq ke armāñ nikal ga.e hote
firaq-o-hijr ke lamhe jo Tal gae hote
hamare zehn ke KHake badal gae hote
wo maslahat ka taqaza agar samajh jata
tamam shahr ke lahje badal gae hote
agar sharik-e-safar wo bhi ho gaya hota
tamazaton ke ye suraj bhi Dhal gae hote
qadam uThae hain kuchh soch kar mohabbat mein
sanbhalna hota hamein to sanbhal gae hote
wafa-pasand agar wo bhi ho gaya hota
hamare raste kitne badal gae hote
jo thoDi der na aata KHayal-e-tanhai
tumhaare shahr ki had se nikal gae hote
'nazar' ko mohlat-e-nazzargi agar milti
nigah-e-shauq ke arman nikal gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.